اردو हिंदी
Sara aalam dhuan dhuan kyun hai | Shaahi Shayari
sara aalam dhuan dhuan kyun hai

Ghazal

Sara aalam dhuan dhuan kyun hai

Ahmad Shahid Khan

;

sara aalam dhuan dhuan kyun hai
har taraf aah aur fughan kyun hai

band hai aaj kya dar-e-rahmat
har dua meri raegan kyun hai

pi liya kya sitam ne aab-e-hayat
KHauf se band har zaban kyun hai

sath chalti hai mere har jaanib
is qadar barq mehrban kyun hai

aa ke sahil pe kaun Dub gaya
mauj ki har ada jawan kyun hai

jism hai ruh mar chuki kab ki
marg pe zist ka guman kyun hai

jab fana hi nasib hai sab ka
phir ye hangama-e-jahan kyun hai