اردو हिंदी
Saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai | Shaahi Shayari
saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai

Ghazal

Saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai

Fana Nizami Kanpuri

;

saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai
zahr pi lunga tere hath se sahba kya hai

main chala aaya tera husn-e-taghaful le kar
ab teri anjuman-e-naz mein rakkha kya hai

na bagule hain na kanTe hain na diwane hain
ab to sahra ka faqat nam hai sahra kya hai

ho ke mayus-e-wafa tark-e-wafa to kar lun
lekin is tark-e-wafa ka bhi bharosa kya hai

koi paband-e-mohabbat hi bata sakta hai
ek diwane ka zanjir se rishta kya hai

saqiya kal ke liye main to na rakkhunga sharab
tere hote hue andesha-e-farda kya hai

meri taswir-e-ghazal hai koi aaina nahin
saikDon ruKH hain abhi aap ne dekha kya hai

saf-goi mein to sunte hain 'fana' hai mashhur
dekhna ye hai tere munh pe wo kahta kya hai