saqiya aisa pila de mai ka mujh ko jam talKH
zindagi dushwar ho aur ho mujhe aaram talKH
main to shirin-tar shakar se bhi samajhta hun use
jab wo dete hain bura kah kar mujhe dushnam talKH
bazm-e-mai mein zikr tak aane nahin dete hain wo
hai hamara nam goya zahr ka ek jam talKH
kya sabab lete nahin wo nam tak mera kabhi
KHauf is ka hai na ho jaen zaban-o-kaam talKH
ishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-KHasta-dil
is ka hai aaghaz shirin aur hai anjam talKH
Ghazal
Saqiya aisa pila de mai ka mujhko jam talKH
Haqeer