saqi sharab hai to ghanimat hai ab ki ab
phir bazm hogi jab to samajh lijo jab ki jab
saghar ke lab se pochhiye us lab ki lazzaten
kis waste ki KHub samajhta hai lab ki lab
kam-fursati se umr ki apni hazar haif
jitni thin KHwahishen wo rahin dil mein sab ki sab
sun kar wo kal ki aaj na ho kis tarah KHafa
ai na-shanas-e-taba kahi tu ne kab ki kab
phula hua badan mein samata nahin 'nazir'
wo gul-badan jo pas raha us ke shab ki shab
Ghazal
Saqi sharab hai to ghanimat hai ab ki ab
Nazeer Akbarabadi