saqi mai-e-gul-rang mere lab se mila dekh
jis waqt bahakne main lagun tab tu maza dekh
gar dekhna hai bulbul-e-nalan ka tamasha
to baad-e-saba bagh mein tu gul ko hansa dekh
bigDi hai shab-e-wasl to wo mujh se kahe hai
ab ki to badan ko tu mere hath laga dekh
pichha tera chhoDen na kabhi bosa liye bin
do rose hum aison ko zara munh to laga dekh
kya faeda gar us ke dil-o-jaan ka zarar ho
'masrur' ko yun KHun na rula rang-e-hina dekh
Ghazal
Saqi mai-e-gul-rang mere lab se mila dekh
Shaikh Meer Bakhsh Masroor