اردو हिंदी
Saqi ki nigahon ka paigham nahin aata | Shaahi Shayari
saqi ki nigahon ka paigham nahin aata

Ghazal

Saqi ki nigahon ka paigham nahin aata

Shaer Fatahpuri

;

saqi ki nigahon ka paigham nahin aata
jis jam ka talib hun wo jam nahin aata

mai-KHwaron ki laghzish par duniya ki nigahen hain
na-fahmi-e-waiz par ilzam nahin aata

allah-re majburi allah-re mahrumi
ya barish-e-sahba thi ya jam nahin aata

betabi-e-dil raaz-e-taskin-e-mohabbat hai
achchhe hain wahi jin ko aaram nahin aata

ya dil ke dhaDakte hi uThti thi nazar un ki
ya dil ka taDapna bhi ab kaam nahin aata

mai-kash ki bhi sunta hai zahid ki bhi sunta hai
us dar se kabhi koi nakaam nahin aata

meri hi nazar 'shair' ruswa hai zamane mein
husn-e-sar-e-mahfil par ilzam nahin aata