saqi khulta hai paimana khulta hai
sachche rindon par mai-KHana khulta hai
un galiyon mein log bhaTakte dekhe hain
jin galiyon mein danish-KHana khulta hai
mujh ko paDhne aa jate hain lakhon log
jab bhi ghazlon ka tah-KHana khulta hai
tum par shayad chaar bahaaren khulti hon
mujh se to har pal virana khulta hai
sab ki aankhon mein aansu aa jate hain
'azar' jab koi diwana khulta hai
Ghazal
Saqi khulta hai paimana khulta hai
Balwan Singh Azar