اردو हिंदी
Saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja | Shaahi Shayari
saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja

Ghazal

Saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja

Rasa Rampuri

;

saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja
to main bhi piye jaun ye kah kar ki diye ja

jaane ki jo zid hai to mujhe zahar diye ja
itna to kaha man le itna to kiye ja

kuchh aur na kar mujh pe jafaen tu kiye ja
kuchh aur na le meri duaen tu liye ja

kya lazzat-e-tazir ne majbur kiya hai
aata hai yahi ji mein ki taqsir kiye ja

kambaKHt 'rasa' teri rasai nahin un tak
tu KHub sa us nam ko bad-nam kiye ja