saqi-e-rangin-ada tha baada-e-gulfam tha
naseh-e-mushfiq lihaz-e-tauba mushkil kaam tha
jo tajalli-ashna tha jlawa-e-gah-e-am mein
wo nigahen thin hamari ya dil-e-nakaam tha
mera afsana sunaya qais ne farhad ne
ab bhi main badnam hun pahle bhi badnam tha
un ki mahfil mein faqat main hi na tha hasrat-zada
shama bhi afsurda thi parwana bhi nakaam tha
kya sunaun aap ko afsana-e-rah-e-wafa
muKHtasar ye hai ki main nakaam hun nakaam tha
ab hamein wo din wo raaten yaad aati hain 'rashid'
ku-e-jaanan ki bahaaren thin dil-e-KHush-kaam tha
Ghazal
Saqi-e-rangin-ada tha baada-e-gulfam tha
Rashid Shahjahanpuri