اردو हिंदी
Saqi-e-KHum-KHana tha jo subh-o-sham | Shaahi Shayari
saqi-e-KHum-KHana tha jo subh-o-sham

Ghazal

Saqi-e-KHum-KHana tha jo subh-o-sham

Ismail Merathi

;

saqi-e-KHum-KHana tha jo subh-o-sham
roz-e-adina tha masjid mein imam

jis ne chashm-e-mast-e-saqi dekh li
ta-qayamat us pe hushyari haram

is lab-e-jaan-baKHsh ki baaten thin ya
moajazat-e-isi-e-gardun-maqam

ho gaya us ko qayamat ka yaqin
jis ne dekha sarw-qamat ka KHiram

chashma-e-ab-e-baqa ki lahr thi
wo ibarat wo ishaarat la-kalam

marhaba itr-e-gareban ki shamim
hai moattar jis se ruhani masham

thi zaban ya qate-e-auham ya
zulfiqar-e-haidari thi be-niyam

jis ne dekha nargis-e-shahla ka KHwab
is ne paya ramz-e-qalbi la-yanam

qala atmamto alaikum nemati
ho gain sab KHubiyan us par tamam

jis ne chaTi utba-e-uliya ki KHak
talKHi-e-dauran se ho kyun talKH-kaam

ai saba sahra-e-jaan mein kar talash
kis taraf hain wo suradiq wo KHiyam

KHalwat-e-laila mein tu guzre agar
to ye kah dena hamara bhi payam

tishnigan-e-shauq hain gum-karda-rah
tu bhi chal bahr-e-KHuda do-chaar gam

bahr mein barpa hua josh-o-KHarosh
habbaza rushhat-e-kasatil-kiram

saunp di thi dast-e-qudrat ne tujhe
naqa-e-laila-e-mani ki zamam