saqi-e-dauran kahan wo tere mai-KHane gae
wo inayat wo saKHawat jam-o-paimane gae
ai meri himmat zara kuchh aur mera sath de
aa gai nazdik manzil dur virane gae
chain se soya hua tha intizar-e-hashr mein
aap meri qabr par kyun phul barsane gae
ai musibat tera aana bhi hai goya moajiza
dost aur dushman ke sare farq pahchane gae
ab pasheman hun ki kyun un ko kaha wada shikan
ek zara si baat par muddat ke yarane gae
bandagi ka maqsad-e-ala to pura kar diya
sajda karne hum haram ko ya ki but-KHane gae
'zabt' apni dil-lagi ke waste jalte hain sab
shama jab bujhne lagi to dur parwane gae
Ghazal
Saqi-e-dauran kahan wo tere mai-KHane gae
Shiv Charan Das Goyal Zabt