saqi bhale phaTakne na de pas jam ke
niyyat to bandh sakte hain pichhe imam ke
qadmon mein den jagah hamein ahl-e-karam kahin
hum randgan hain sajda-gah-e-KHas-o-am ke
aankhon ki baat chhiD gai baaton ke darmiyan
mai-KHane wale rah gae paimane tham ke
waiz ko unch-nich mohabbat ki kya pata
ye masale nahin ulama-e-kiram ke
kya KHub wahi pir-e-KHarabaat ko hui
jhagDe hain sab haram halal-o-haram ke
do-chaar ashk haal pe mere bahaiye
shabnam gire labon pe kisi tishna-kaam ke
aata na ho baraat sitaron ki le ke chand
ruKHsar surKH kyun hue jate hain sham ke
insan hain farishta-o-iblis hum nahin
qail nahin ruku-o-sujud-o-qayam ke
ahl-e-zamana un se na bandhen tawaqquat
ushshaq aadmi hain hasinon ke kaam ke
shahr-e-butan mein hain jo dar-e-mai-kada pe dafn
pahunche hue buzurg the 'rahil' nam ke
Ghazal
Saqi bhale phaTakne na de pas jam ke
Raheel Farooq

