sanson ke taaqub mein hairan mili duniya
taswir bane jab hum aaina hui duniya
hum KHun pasina jab ek kar ke hue raushan
kyun aag bani duniya aur KHub jali duniya
apna nazariyya kya mahrum-e-nazar hain jab
us samt chale hum bhi jis samt chali duniya
sailab-e-bala se ye kyun KHauf dilati hai
kya hum ko bachaegi shoalon mein ghiri duniya
mamul judai hai go phul ki gulshan se
lekin jo hui anqa KHwabon mein basi duniya
sab KHwab purane hain har chand fasane hain
hum roz basate hain aankhon mein nai duniya
hum donon safar mein the malum nahin ab kuchh
kya tu ne kahi duniya kya hum ne suni duniya
farda-e-qayamat ka wada tera pursan hai
ab kitni bachin sansen ab kitni bachi duniya
har baat pe hairani har lamhe ki nigrani
duniya se 'ata' yani kab samjhi gai duniya
Ghazal
Sanson ke taaqub mein hairan mili duniya
Ata Abidi