sans lene ke liye taza hawa bheji hai
zindagi ke liye masum dua bheji hai
main ne bheji thi gulabon ki bashaarat us ko
tohfatan us ne bhi KHushbu-e-wafa bheji hai
main to qatil tha bari ho ke bhi qatil hi raha
mujh ko insaf ne jine ki saza bheji hai
kitne gham hain jo sar-e-sham sulag uThte hain
chaara-gar tu ne ye kis dukh ki dawa bheji hai
marhale aur bhi the jaan se guzarne ke liye
karbala kis ne pas-e-karb-o-bala bheji hai

Ghazal
Sans lene ke liye taza hawa bheji hai
Hamid Sarosh