sans lena bhi saza lagta hai
ab to marna bhi rawa lagta hai
koh-e-gham par se jo dekhun to mujhe
dasht aaghosh-e-fana lagta hai
sar-e-bazar hai yaron ki talash
jo guzarta hai KHafa lagta hai
mausam-e-gul mein sar-e-shaKH-e-gul
shoala bhaDke to baja lagta hai
muskuraata hai jo is aalam mein
ba-KHuda mujh ko KHuda lagta hai
itna manus hun sannaTe se
koi bole to bura lagta hai
un se mil kar bhi na kafur hua
dard ye sab se juda lagta hai
nutq ka sath nahin deta zehn
shukr karta hun gila lagta hai
is qadar tund hai raftar-e-hayat
waqt bhi rishta-bapa lagta hai
Ghazal
Sans lena bhi saza lagta hai
Ahmad Nadeem Qasmi