اردو हिंदी
Sans ki aas nigahban hai KHabar-dar raho | Shaahi Shayari
sans ki aas nigahban hai KHabar-dar raho

Ghazal

Sans ki aas nigahban hai KHabar-dar raho

Shohrat Bukhari

;

sans ki aas nigahban hai KHabar-dar raho
dil charagh-e-tah-e-daman hai KHabar-dar raho

phir do aalam ke ujaDne ki ghaDi aa pahunchi
aaj phir husn pasheman hai KHabar-dar raho

jada-e-shahr-e-tasawwur ki raha rishta-e-jaan
surat-e-gard-e-pareshan hai KHabar-dar raho

phir kisi dil mein qayamat ne sukun DhunDh liya
aaj phir wa dar-e-zindan hai KHabar-dar raho

rang-o-KHushbu ke tilismat mein khone walo
phul mein aag bhi pinhan hai KHabar-dar raho

is qadar mahw na ho jao gham-e-duniya mein
saf aks-e-gham-e-jaanan hai KHabar-dar raho

dil lagao na chaman se na chaman walon se
aaKHir-e-kar bayaban hai KHabar-dar raho

do ghaDi ke liye mumkin hai koi phul khile
hasil-e-dasht-e-mughilan hai KHabar-dar raho

'bu-ali' aabla-pa sar-ba-gareban hai yahan
maut is dard ka darman hai KHabar-dar raho

dil ki hai matami-e-hasrat-e-tamir-e-azal
KHud hi ghaarat-e-gar-e-saman hai KHabar-dar raho

phir rag-o-pai mein utar aaenge suraj gal kar
aaj phir koi ghazal-KHwan hai KHabar-dar raho

ek ek harf ki aaega zaban par logo
girah-e-shoala-e-pechan hai KHabar-dar raho

kab talak sooge ai kucha-e-jaanan walo
asar-e-jaur numayan hai KHabar-dar raho

zikr mera ba-badi bhi na zaban par lao
ye bhi ek surat-e-darman hai KHabar-dar raho

tur-e-sina ho ki lahore ki galiyan 'shohrat'
husn-e-har-rang gurezan hai KHabar-dar raho