sans ki aanch zara tez karo
kanch ka jism pighal jaane do
lam KHali hai use mat chheDo
nun ke peT mein nuqta dekho
raat ke parde ulaTte jao
chand ka jism barahna bhi ho
sar uThao na kanar-e-dariya
mauj ko sar se guzar jaane do
KHud-ba-KHud shaKH lachak jaegi
phal se bharpur to ho lene do
aankh khulte hi ye aawaz aai
chor ghus aaya hai ghar mein pakDo
ungliyan chaTte rah jaoge
tum kabhi apna lahu chakh dekho
maut saDkon pe phira karti hai
ghar se niklo to sambhal kar niklo
kaun ab sher kahe nazm likhe
shahr hi chhoD gai jab zebo
tum ko dawa hai suKHan-fahmi ka
jao 'ghaalib' ke taraf-dar bano
kal wo 'adil' se ye farmate the
shaeri chhoD ke shadi kar lo
Ghazal
Sans ki aanch zara tez karo
Adil Mansuri