sans ka apni rag-e-jaan se guzar hone tak
dard hota hai mujhe shab ke sahar hone tak
umr guzri pa asar aah ka phir bhi na hua
ji gae hum bhi kisi zulf ke sar hone tak
jab wo samjhenge to ye dard mein Dhal jaegi
aah baqi hai meri sirf asar hone tak
tha taghaful unhen nau-midi-e-jawed bhi thi
KHak-dar-KHak the hum un ko KHabar hone tak
apne hi KHun mein nahata hai har ek sans ke sath
dil mera dil tha kisi dard ka ghar hone tak
samna partaw-e-KHur ka kare shabnam kaise
zor lagta hai bahut KHushk ko tar hone tak
KHak hain KHak mein mil jaane ka Dar kyun ho hamein
KHauf khana hai to qatre ko guhar hone tak
dil mein ab rahm nahin mehr-o-mohabbat bhi nahin
wo bhi insan tha magar sahab-e-zar hone tak
ho gaya ishq jo mayus-e-tamanna ek bar
maut aaegi use bar-e-digar hone tak
un ke ba-zabta hone ki hai 'tamjid' umid
hum bhi ho jate hain KHamosh magar hone tak
Ghazal
Sans ka apni rag-e-jaan se guzar hone tak
Syed Tamjeed Haider Tamjeed