sanehe lakh sahi hum pe guzarne wale
rasto hum bhi nahin Dar ke Thaharne wale
marne wale koi aur sabab DhunD ki hum
mare jaane ke to Dar se nahin marne wale
kitni jaldi mein hua KHatm mulaqat ka waqt
warna kya kya na sawalat the karne wale
guftugu KHud se hui apne hi haq mein warna
sach se is bar to hum bhi the mukarne wale
zindagi apni tamasha hi sahi lekin hum
koi kirdar musalsal nahin karne wale
ek kaghaz ke bharose pe bana kar kashti
gahre pani mein utarte hain utarne wale
pyas bhaDkaen jahan sirf rawayyon ke sarab
hum bhi is dasht mein panw nahin dharne wale
hum mein kyun baat kabhi ho nahin pati 'sima'
hum kisi rose yahi baat the karne wale
Ghazal
Sanehe lakh sahi hum pe guzarne wale
Seema Naqvi