اردو हिंदी
Saneha roz naya ho to ghazal kya kahiye | Shaahi Shayari
saneha roz naya ho to ghazal kya kahiye

Ghazal

Saneha roz naya ho to ghazal kya kahiye

Zafar Rabab

;

saneha roz naya ho to ghazal kya kahiye
har taraf hashr bapa ho to ghazal kya kahiye

barbariyyat pe hi qadghan hai na saffaki par
raqs-e-iblis rawa ho to ghazal kya kahiye

tir-e-baran mere pindar pe hain ahl-e-jafa
izzat-e-nafs fana ho to ghazal kya kahiye

bolna bhi yahan dushwar hai chup rahna bhi
qufl honTon pe laga ho to ghazal kya kahiye

ek nasur sa hai dil ki jagah sine mein
zaKHm andar se hara ho to ghazal kya kahiye

bhuk ne talKHiyan bhar di hain lab-o-lahje mein
zahr faqon mein ghula ho to ghazal kya kahiye

dam gharibi mein nikalta na Thaharta hai 'rabab'
zindagi sard chita ho to ghazal kya kahiye