اردو हिंदी
Samne uske ro nahin sakta | Shaahi Shayari
samne uske ro nahin sakta

Ghazal

Samne uske ro nahin sakta

Joshish Azimabadi

;

samne us ke ro nahin sakta
chup rahun ye bhi ho nahin sakta

sang o aahan gudaz hote hain
us ka dil narm ho nahin sakta

aag se tifl-e-ashk Darta hai
dil ke daghon ko dho nahin sakta

jis tarah so gae mere tale
us tarah koi so nahin sakta

misl-e-farhad ishq mein 'joshish'
jaan koi muft kho nahin sakta