samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai
un se kahna tha rudad-e-sham-e-alam dil ki dil hi mein ye aarzu rah gai
gham ke sanche mein ek ek nafas Dhal gaya un ki mahfil mein ye daur bhi chal gaya
ashk pine se mana ki dil jal gaya zabt-e-gham ki magar aabru rah gai
tere naqsh-e-qadam bhi mile ja-ba-ja teri mahfil tera aastan bhi mila
han magar tu kisi ko nahin mil saka ho ke nakaam har justuju rah gai
dil mein daghon ka jab se hai ek gulistan chhin gai hain bahaaron se ranginiyan
ab gulon mein wo pahli si nikhat kahan aarzi raunaq-e-rang-o-bu rah gai
naz tha hum ko jin par unhin ki qasam wo bhi ulfat mein nikle na sabit-qadam
be-kasi ke andhere mein ai sham-e-gham ek hum rah gae ek tu rah gai
allah allah tere husn ki ek jhalak raushni ho gai az-zamin-ta-falak
ek bijli si lahrai kuchh dur tak phir Thahar kar mere ru-ba-ru rah gai
aankh se aankh aur dil se dil jab mila jaane un ki nigahon ne kya kar diya
meri aankhon mein us roz se ai 'saba' khinch ke taswir-e-jam-o-subu rah gai
Ghazal
Samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai
Saba Afghani