samne tere hun ghabraya hua
be-zaban hone par sharmaya hua
lakh ab manzar ho dhundlaya hua
yaad hai mujh ko nazar aaya hua
ye bhi kahna tha bata kar rasta
main wahi hun tera bhaTkaya hua
main ki ek aaseb ek be-chain ruh
be-wuzu hathon ka dafnaya hua
aa gaya phir mashwara dene mujhe
KHema-e-dushman ka samjhaya hua
phir wo manzil lutf kya deti mujhe
main wahan pahuncha tha jhunjhlaya hua
teri galiyon se guzar aasan nahin
aaj bhi chalta hun ghabraya hua
kuchh naya karne ka phir matlab hi kya
jab tamashai hai uktaya hua
kam se kam is ka to rakhta wo lihaz
main hun ek aawaz par aaya hua
mujh ko aasani se pa sakta hai kaun
main hun tere dar ka Thukraya hua

Ghazal
Samne tere hun ghabraya hua
Shariq Kaifi