اردو हिंदी
Samne shah-e-waqt ke aslam kaun kahe ye baat | Shaahi Shayari
samne shah-e-waqt ke aslam kaun kahe ye baat

Ghazal

Samne shah-e-waqt ke aslam kaun kahe ye baat

Aslam Haneef

;

samne shah-e-waqt ke 'aslam' kaun kahe ye baat
chor na the fankar the hum phir kaT liye kyun hat

us ka shewa us ki fitrat rishton ki tauhin
nang-e-insaniyyat hain sab us ke ehsasat

kunDli mare baiTha hua tha us ki zat mein khoT
aa kar wapas ho jati thi rishton ki saughat

meri KHamoshi par tari hai kaisa aalam-e-kashf
dasht-e-badan par hone lagi hai rangon ki barsat

jaise ye bhi paT rahi hon shaKHsiyyat ka jhol
rauzon ki diwaron par yun kanda hain aayat

jaane kis aawaz ki KHushbu sungh rahe hain kan
sare badan mein Dol raha hai ek kaif-e-lazzat