samne sab ke na bolenge hamara kya hai
chhup ke tanhai mein ro lenge hamara kya hai
gulshan-e-ishq mein har phul tumhaara hi sahi
hum koi KHar chubho lenge hamara kya hai
umr-bhar kaun rahe abr-e-karam ka muhtaj
dagh-e-dil ashkon se dho lenge hamara kya hai
hath aaya na agar dast-e-hinai tera
ungliyan KHun mein Dubo lenge hamara kya hai
tum ne mahlon ke alawa nahin dekha kuchh bhi
hum to footpath pe so lenge hamara kya hai
apni manzil to sarabon ka safar hai 'baqi'
hum kisi rah pe ho lenge hamara kya hai
Ghazal
Samne sab ke na bolenge hamara kya hai
Baqi Ahmad Puri