samne KHanjar rakh kar dekhen
dil hai phul ki patthar dekhen
ek jazira ho aur hum tum
chaaron-or samundar dekhen
ab kya nam ki zebaish hi
har ghar ki taKHti par dekhen
dam-KHam hai aandhi mein kitna
aao dip jala kar dekhen
aag hai donon ki aankhon mein
jalta hai kis ka ghar dekhen
samne manzar hi aate hain
aap 'asar' pas-e-manzar dekhen
Ghazal
Samne KHanjar rakh kar dekhen
Mohammad Ali Asar