samne ji sambhaal kar rakhna
phir wahi apna haal kar rakhna
aa gae ho to is KHarabe mein
ab qadam dekh-bhaal kar rakhna
sham hi se baras rahi hai raat
rang apne sambhaal kar rakhna
ishq kar-e-payambarana hai
jis ko chhuna misal kar rakhna
kisht karna mohabbaten aur phir
KHud use paemal kar rakhna
roz jaana udas galiyon mein
roz KHud ko niDhaal kar rakhna
saKHt mushkil hai aainon se 'rasa'
wahimon ko nikal kar rakhna
Ghazal
Samne ji sambhaal kar rakhna
Rasa Chughtai

