اردو हिंदी
Samne jab koi bharpur jawani aae | Shaahi Shayari
samne jab koi bharpur jawani aae

Ghazal

Samne jab koi bharpur jawani aae

Saqi Amrohvi

;

samne jab koi bharpur jawani aae
phir tabiat mein meri kyun na rawani aae

koi pyasa bhi kabhi us ki taraf ruKH na kare
kisi dariya ko agar pyas bujhani aae

main ne hasrat se nazar bhar ke use dekh liya
jab samajh mein na mohabbat ke maani aae

us ki KHushbu se kabhi mera bhi aangan mahke
mere ghar mein bhi kabhi raat ki rani aae

zindagi bhar mujhe is baat ki hasrat hi rahi
din guzarun to koi raat suhani aae

zahr bhi ho to wo tiryaq samajh kar pi le
kisi pyase ke agar samne pani aae

ain mumkin hai koi TuT ke chahe 'saqi'
kabhi ek bar palaT kar to jawani aae