samne hote the pahle jis qadar hote the hum
jab ye nazzare nahin the tab nazar hote the hum
tab naya miTTi se uTTha tha mohabbat ka KHamir
har kisi kuze mein do ek ghunT bhar hote the hum
jis pari par mar miTe the wo pari-zadi na thi
baad mein jaana ki us ke donon par hote the hum
tab kisi diwar se koi taaruf tha nahin
un dinon ki baat hai jab dar-ba-dar hote the hum
samne aate the jab to DhunDte the kashtiyan
chaar aankhon se bani ek jhil par hote the hum
yun bana dete the jaise sher ho jate hain ab
harf-e-kun ka bhi kabhi dast-e-hunar hote the hum
ek ghaDi aisi bhi aati thi mulaqaton ke bich
tum udhar hote the jis ke aur udhar hote the hum
Ghazal
Samne hote the pahle jis qadar hote the hum
Faizan Hashmi