samne apne tu bula ke to dekh
hausla mera aazma ke to dekh
mah-e-kaamil bhi mand paD jae
apna chehra use dikha ke to dekh
aaj qaus-e-quzah ka lutf kahan
apne aariz pe rang haya ke to dekh
main teri aaKHiri zarurat hun
tu kabhi mujh se dur ja ke to dekh
jaan-ba-lab hun qarar aa jae
apni palken zara uTha ke to dekh
hain duaon se moajize mumkin
tu KHuda ko kabhi mana ke to dekh

Ghazal
Samne apne tu bula ke to dekh
Naeem Zarrar Ahmad