samne aankhon ke har dam teri timsal hai aaj
dil bhara aae na kyunkar ki bura haal hai aaj
zafaran-zar mein lale ki bahaar aa kar dekh
ashk-e-KHunin se ruKH-e-zard mera lal hai aaj
waqt hai gar to ba-taqrib-e-iyaadat aawe
kyunki bimar ka tere batar ahwal hai aaj
turfa haalat hai ki uTh kar main jahan jata hun
tere didar ki KHwahish mere dumbaal hai aaj
roz is tul se kahe ko kaTe tha mera
nahin malum mujhe roz hai ya sal hai aaj
dil chala sabr chala ji bhi chala jata hai
Tuk madad kar tu ki lashkar mein mere chaal hai aaj
tujh ko chaha tha main us din ke liye kya zalim
teri chahat to meri jaan ka janjal hai aaj
din judai ka qayamat se nahin kam har-chand
bim-e-pursish na gham-e-nama-e-amal hai aaj
'mushafi' karwaTen badle hai qalaq mein tujh bin
ustuKHwan us ka jo hai qura-e-rummal hai aaj
Ghazal
Samne aankhon ke har dam teri timsal hai aaj
Mushafi Ghulam Hamdani