اردو हिंदी
Samne aaina tha masti thi | Shaahi Shayari
samne aaina tha masti thi

Ghazal

Samne aaina tha masti thi

Aziz Lakhnavi

;

samne aaina tha masti thi
un par ek shan-e-KHud-parasti thi

mujh ko kabe mein bhi hamesha shaiKH
yaad-e-ayyam-e-but-parasti thi

sirf dil hi nahin jala mera
zarre zarre mein us ke basti thi

kyun zuleKHa teri adalat mein
husn ki jins aisi sasti thi

sujhta tha na intizar mein kuchh
dekhne ko nigah tarasti thi

dekhne hum gae the qabr-e-'aziz'
hae kya bekasi barasti thi