samea lazzat-e-bayan-zada
zehn o dil sehr-e-dastan-zada
fikr o tahqiq rehn-e-mohr-o-sanad
talib-e-ilm imtihan-zada
zat ki fikr hai qayas-alud
zindagi ka yaqin guman-zada
raat pahchan de gai sab ko
subh chehre mile nishan-zada
tak mein hai na ki taaqub mein
tu shikari hai par machan-zada
un ki fikr-e-rasa falak-paima
apni sochen hain aasaman-zada
KHud se rishte nahin rahe lekin
log ab bhi hain KHandan-zada
raat hai log ghar mein baiThe hain
daftar-aluda o dukan-zada
Ghazal
Samea lazzat-e-bayan-zada
Abdul Ahad Saaz