saman to gaya tha magar ghar bhi le gaya
ab ke fasad dil se mere Dar bhi le gaya
KHairaat baT rahi thi dar-e-shahryar par
sunte hain ab ke bhik sikandar bhi le gaya
man ne bacha ke rakkha tha beTi ke waste
beTa hua jawan to ye zewar bhi le gaya
aaya tha har kisi ko mohabbat se jitne
kuchh zaKHm apne sine ka 'saghar' bhi le gaya
Ghazal
Saman to gaya tha magar ghar bhi le gaya
Saghar Azmi