saman-e-faragh jal raha hai
sahra ho ki bagh jal raha hai
hai shaKH-e-nihaal par sameTe
bulbul ho ki zagh jal raha hai
hathon mein dahak raha hai pyala
honTon mein ayagh jal raha hai
jo fasl-e-junun mein khil raha tha
wo qarya-e-dagh jal raha hai
wahshat bhi fusun-e-mushtarak hai
dil ho ki dimagh jal raha hai
phir bhi hai chahaar-su andhera
sadiyon se charagh jal raha hai
Ghazal
Saman-e-faragh jal raha hai
Syed Amin Ashraf

