salim yaqin-e-azmat-e-sehr-e-KHuda na toD
mayus ho ke kasa-e-dast-e-dua na toD
shiraaza-e-hayat bikhar jaega mera
ai sang-zad shisha-e-ahd-e-wafa na toD
kuchh aur hone de rah-e-manzil ko tez-gam
ai KHizr tu abhi meri zanjir-e-pa na toD
teshe ki zarb sah nahin sakta har ek wajud
aazar har ek paikar-e-sang-e-ana na toD
chehre ki silwaTon ka sabab aaina nahin
nachaargi-e-umr-e-ruKH-e-aina na toD
is mutrib hayat mein zinda hai ragni
ruk mutriba abhi tu ye saz-e-sada na toD
bedar ho na jaen badan ki zaruraten
ai shauq-e-be-panah fasil-e-haya na toD
'salim'-shujaa maut ki hai aarzu haram
aaina-e-hayat ko yun be-KHata na toD
Ghazal
Salim yaqin-e-azmat-e-sehr-e-KHuda na toD
Salim Shuja Ansari