sakin hai koi aur watan aur kisi ka
ye ruh kisi ki hai badan aur kisi ka
surKHi hai kaho ki mere har sarw-o-saman mein
paDhta hai qasida ye chaman aur kisi ka
taskin ka bais hai kisi aur ka pahlu
ehsas dilati hai chubhan aur kisi ka
aaina samajhte hain tujhe sab ye alag baat
hai tujh mein magar aaina-pan aur kisi ka
ye pyar ka jazba tere kuchh kaam to aae
mera nahin banta hai to ban aur kisi ka
kahte hain suKHnawar mujhe nisbat se teri sab
rahta hai mere lab pe 'suKHan' aur kisi ka
Ghazal
Sakin hai koi aur watan aur kisi ka
Abdul Wahab Sukhan