sailana un ke dar par jab mera jaana hua
hans ke bole shah-sahib kis taraf aana hua
TuTe but masjid bani mismar but-KHana hua
jab to ek surat bhi thi ab saf virana hua
har jagah maujud samjha us ko sajda kar liya
KHwah masjid KHwah girja KHwah but-KHana hua
baz rakhti hai hamein KHidmat se az-KHud-raftagi
aan niklenge kabhi gar aap main aana hua
beshtar bulbul se tha sar mein mere shor-e-junun
fasl-e-gul aane na pai thi ki diwana hua
garmi-e-furqat mein jab ashkon se mizhgan tar huin
marduman-e-chashm ke rahne ko KHas-KHana hua
kar-KHane jitne hain duniya ke sab hain be-sabaat
aankh se jo aaj dekha kal wo afsana hua
hanste hanste dil-lagi ke waste napa jo aaj
sarw ka qad us sahi-qamat ke ta-shana hua
yusuf-e-misr-e-mohabbat kaisa arzan bik gaya
naqd-e-dil qimat hui ek bosa baiana hua
jal ke us ne jaan di ye nale kar ke rah gai
ishq-e-bulbul par bhi faiq ishq-e-parwana hua
ishq-e-dandan ki KHata par qatl jo mujh ko kiya
is liye shamshir-e-qatil mein bhi dandana hua
main ne jaana kasa-e-sar hai kisi mai-KHwar ka
wazhguna dast-e-saqi mein jo paimana hua
muzhda-baad ai baada-KHwaro daur-e-waiz ho chuka
madrase khole gae tamir mai-KHana hua
'rind' hun roz-e-azal se hun main warafta-mizaj
is liye taur-e-suKHan bhi apna rindana hua
Ghazal
Sailana un ke dar par jab mera jaana hua
Rind Lakhnavi