اردو हिंदी
Sahilon ki KHamushi ne jab fasurda kar diya | Shaahi Shayari
sahilon ki KHamushi ne jab fasurda kar diya

Ghazal

Sahilon ki KHamushi ne jab fasurda kar diya

Krishn Adeeb

;

sahilon ki KHamushi ne jab fasurda kar diya
KHwahishon ki kashtiyon ko gharq-e-dariya kar diya

jism kya tha lazzaton ka ek dariya tha kabhi
har kisi ne pi ke jis ko aaj sahra kar diya

aaj baiThe tak rahe hain umr ka KHali gilas
mausamon ka mai-kada ye kis ne suna kar diya

main barahna jism us ka oDh kar phirta raha
jama-poshi ke junun ne mujh ko nanga kar diya

tha yaqinan doston ki saf mein ek dushman mera
be KHabar pa kar achanak jis ne hamla kar diya

soch ki sari basirat chhinne wale bata
tu to suraj tha mera kyun mujh ko andha kar diya

wo jo kal tak mangte the mujh se qad mera 'adib'
sher ke naqid ne un ko mujh se uncha kar diya