sahil pe ye TuTe hue taKHte jo paDe hain
Takrae hain tufan se talatum se laDe hain
dil apna jalao shab-e-zulmat ke harifo
kya gham hai charaghon ke agar qaht paDe hain
chaDhne do abhi aur zara waqt ka suraj
ho jaenge chhoTe yahi sae jo baDe hain
manzil se palaT aae hain hum ahl-e-mohabbat
jo sang-e-hidayat the wo raste mein khaDe hain
hain masKH-shuda chehre 'shahud' aap se barham
aaina-sifat aap muqabil jo khaDe hain
Ghazal
Sahil pe ye TuTe hue taKHte jo paDe hain
Shahood Alam Aafaqi