اردو हिंदी
Sahil pe samundar ke kuchh der Thahar jaun | Shaahi Shayari
sahil pe samundar ke kuchh der Thahar jaun

Ghazal

Sahil pe samundar ke kuchh der Thahar jaun

Ishrat Zafar

;

sahil pe samundar ke kuchh der Thahar jaun
mumkin hai ki maujon ke mathe pe ubhar jaun

tapte hue lamhon ko sairab to kar jaun
ek mauj-e-sada ban kar sahra mein bikhar jaun

har sang hai ek shisha har shisha hai ek patthar
ai shahr-e-tilism aaKHir Thahrun ki guzar jaun

lao na ujalon ko is shahr ki sarhad tak
aisa na ho main apne sae se hi Dar jaun

har samt fazaon mein pathraw ka aalam hai
shishe ka badan le kar jaun to kidhar jaun

har sham mere dil mein deta hai sada koi
main Dubte suraj ke hamrah na mar jaun

roke na agar mujh ko is dasht ki tanhai
'ishrat' main hawaon ke paikar mein utar jaun