sahil pe lai aur safine Dubo diye
yun zindagi ne hum ko hansaya ki ro diye
ahl-e-chaman ne jashn-e-bahaaran ke nam se
wo dastan sunai ki daman bhigo diye
zabt-e-gham-e-firaq ki majburiyan na puchh
dil mein kisi ka nam liya aur ro diye
fariyaad ki hai baat magar ab sunega kaun
ek naKHuda ne kitne safine Dubo diye
ai wae-sai-e-zabt ki aksar tere huzur
hansne ka ehtimam kiya aur ro diye
un aansuon ka dekhne wala koi na tha
jin aansuon mein hum ne tabassum samo diye
rah-e-junun mein kaam KHirad se liya hi tha
zoaf-e-talab ne panw mein kanTe chubho diye
tajdid-e-ahd-e-ishq hui aaj yun 'shamim'
nazren milin salam kiya aur ro diye

Ghazal
Sahil pe lai aur safine Dubo diye
Shamim Jaipuri