sahil pe kya hai bahar ke andar talash kar
gahraiyon mein Dub ke gauhar talash kar
jis mein hayat-baKHsh nazara dikhai de
gulzar-e-zindagi mein wo manzar talash kar
dete hain ab sada tujhe mirriKH o mahtab
kya kya hain un ki god mein ja kar talash kar
miT jae jis ke nur se zulmat hayat ki
aisa koi charagh-e-munawwar talash kar
tufan-e-bahar-e-zist mein kashti na gharq ho
ai naKHuda panah ka langar talash kar
jis daere mein dauD lagata raha hai tu
us daere ke daur ka mehwar talash kar
'kausar' ho tujh ko KHud se jo milne ki aarzu
apne ko apne aap mein kho kar talash kar
Ghazal
Sahil pe kya hai bahar ke andar talash kar
Kausar Siwani