اردو हिंदी
Sahil pe ab charagh farozan hue to kya | Shaahi Shayari
sahil pe ab charagh farozan hue to kya

Ghazal

Sahil pe ab charagh farozan hue to kya

Kashfi Lucknavi

;

sahil pe ab charagh farozan hue to kya
gharqab hum ko kar ke ye saman hue to kya

be-rang-o-bu hai daman-e-ahl-e-chaman abhi
qatre lahu ke sarf-e-bahaaran hue to kya

be-kar hai bahaar jo aae na waqt par
gar mere baad aish ke saman hue to kya

hum but-kade mein rah ke bhi iman-parast hain
waiz haram mein rah ke musalman hue to kya

gar la-ilaj ho gaya dard-e-dil-e-figar
phir chaarasaz mail-e-darman hue to kya

mathe pe to kalank ka Tika hai aaj tak
hum ko miTa ke log numayan hue to kya

KHwabida ab bhi nazren hain be-his hai ab bhi dil
na aashna-e-soz ghazal-KHwan hue to kya

daman se KHun dil ko banana tha rashk-e-gul
minnat-kash-e-bahaar-e-gulistan hue to kya

'kashfi' miTa sake na magar zulmat-e-nasib
aansu hamare zinat-e-mizhgan hue to kya