sahil par dariya ki lahren sajda karti rahti hain 
lauT ke phir aane jaane ka wada karti rahti hain 
kya jaane kab dharti par sailab ka manzar ho jae 
har-dam ye majbur nigahen warsha karti rahti hain 
un ki nayya bin manjhi ke par karegi sab dariya 
kyunki Dher duaen jaise pichha karti rahti hain 
kis kis manzar par KHud ko ranjida kar lun sochunga 
har manzar par aanhken meri nauha karti rahti hain 
be-mehnat jab roTi qaidi ban jati hai thaali ki 
be-ghairat si raaten mujh se shikwa karti rahti hain 
patthar ho jaen ya pani rim-jhim rim-jhim barsaen 
aanhken sare manzar ko aaina karti rahti hain
        Ghazal
Sahil par dariya ki lahren sajda karti rahti hain
Zafar Imam

