sahil ki ret chand ke munh par na Daliye
himmat jo ho to bahr se moti nikaliye
KHushbu ki tarah tham ke chaliye hawa ka hath
misl-e-ghubar bojh faza par na Daliye
aawara mausamon ke bagulon ke sath sath
phirta hai koi mujh ko hawa-dar-hawa liye
khulta nahin ki kis ke liye sargiran hun main
qadmon mein KHak sar pe falak ki rida liye
sae ki tarah reng raha hun zamin par
guzre hue zamanon ki aawaz-e-pa liye
ek harf mere kan mein kahta hai raat-din
mujh ko kitab-e-KHak se bahar nikaliye
mumkin hai koi shakl ubhar aae samne
aaina-e-KHala mein koi aks Daliye
aazad ho saka na badan qaid-e-KHak se
har-chand hum ne panw hawa mein jama liye
ek sham-e-be-nishan ka pata DhunDte hue
hum ne dil-o-nigah ke suraj bujha liye
Ghazal
Sahil ki ret chand ke munh par na Daliye
Nazeer Qaisar