sahib-e-taj-e-basirat hun main diwana sahi
fikr shahana hai andaz faqirana sahi
zikr-e-kaba na sahi qissa-e-but-KHana sahi
husn-e-tafhim salamat koi afsana sahi
munakis zehn-o-nazar mein hain KHad-o-KHal tere
tujh ko samjha to bahut hai tujhe dekha na sahi
sajda paband-e-tayyun to nahin diwane
hai agar bab-e-haram band to but-KHana sahi
hur-o-kausar ke tasawwur se kahan tak bahlen
nar-e-imroz hi de jannat-e-farda na sahi
nigah-e-dil ke rawabit se ham-ahang to hai
meri duniya teri duniya se judagana sahi
munfarid phir bhi hai ai husn haqiqat us ki
zindagi ishq ki unwan-e-sad-afsana sahi
Ghazal
Sahib-e-taj-e-basirat hun main diwana sahi
Mukhtar Hashmi