اردو हिंदी
Sahab ke harza-pan se har ek ko gila hai | Shaahi Shayari
sahab ke harza-pan se har ek ko gila hai

Ghazal

Sahab ke harza-pan se har ek ko gila hai

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

sahab ke harza-pan se har ek ko gila hai
main jo nibahta hun mera hai hausla hai

chaudah ye KHanwade hain chaar pir-tan mein
chishtiyya sab se achchhe ye zor silsila hai

phir kuchh gae huon ki mutlaq KHabar na pae
kya jaaniye kidhar ko jata ye qafila hai

bar-e-garan uThana kis waste azizo
hasti se kuchh adam tak thoDa hi fasla hai

de galiyan hazaron sun matla is ghazal ka
kahne lage ki 'insha' is ka ye sila hai