saf kahte ho magar kuchh nahin khulta kahna
baat kahna bhi tumhaara hai muamma kahna
ro ke us shoKH se qasid mera rona kahna
hans paDe us pe to phir harf-e-tamanna kahna
masal-e-maktub na kahne mein hai kya kya kahna
na meri tarz-e-KHamoshi na kisi ka kahna
aur thoDi si shab-e-wasl baDha de ya-rab
subh nazdik hamein un se hai kya kya kahna
phaD khata hai jo ghairon ko jhapaT kar sag-e-yar
main ye kahta hun mere sher tera kya kahna
har bun-e-mu-e-mizha mein hain yahan sau tufan
ain ghaflat hai mari aankh ko dariya kahna
wasf-e-ruKH mein jo sune sher wo hans kar bole
sher hain nur ke hai nur ka tera kahna
la sakoge na zara jalwa-e-didar ki tab
arini munh se na ai hazrat-e-musa kahna
kar liya ahd kabhi kuchh na kahenge munh se
ab agar sach bhi kahen tum hamein jhuTa kahna
KHak mein zid se milao na mere aansu ko
sachche moti ko munasib nahin jhuTa kahna
kaise nadan hain jo achchhon ko bura kahte hain
ho bura bhi to use chahiye achchha kahna
dam-e-aKHir tu buto yaad KHuda karne do
zindagi bhar to kiya main ne tumhaara kahna
paDhte hain dekh ke us but ko farishte bhi darud
marhaba salle-ala salle-ala kya kahna
ai buto tum jo ada aa ke karo masjid mein
lab-e-mehrab kahe nam-e-KHuda kya kahna
in hasinon ki jo tarif karo chiDhte hain
sach to ye hai ki bura hai unhen achchha kahna
shauq kabe liye jata hai hawas jaanib-e-dair
mere allah baja laun mein kis ka kahna
sari mahfil ko ishaaron mein luTa do ai jaan
sikh lo chashm-e-suKHan-go se latifa kahna
ghaTte ghaTte mein raha ishq-e-kamar mein aadha
jama-e-tan ko mere chahiye nima kahna
mein to aankhon se baja lata hun irshad-e-huzur
aap sunte nahin kanon se bhi mera kahna
chusti-e-taba se ustad ka hai qaul 'amir'
ho zamin sust magar chahiye achchha kahna
Ghazal
Saf kahte ho magar kuchh nahin khulta kahna
Ameer Minai