saf kab imtihan lete hain
wo to dam de ke jaan lete hain
yun hai manzur KHana-virani
mol mera makan lete hain
tum taghaful karo raqibon se
jaanne wale jaan lete hain
phir na aana agar koi bheje
nama-bar se zaban lete hain
ab bhi gir paD ke zof se nale
satwan aasman lete hain
tere KHanjar se bhi to ai qatil
nok ki nau-jawan lete hain
apne bismil ka sar hai zanu par
kis mohabbat se jaan lete hain
ye suna hai mere liye talwar
ek mere mehrban lete hain
ye na kah hum se tere munh mein KHak
is mein teri zaban lete hain
kaun jata hai us gali mein jise
dur se pasban lete hain
manzil-e-shauq tai nahin hoti
Thekiyan na-tawan lete hain
kar guzarte hain ho buri ki bhali
dil mein jo kuchh wo Than lete hain
wo jhagaDte hain jab raqibon se
bich mein mujh ko san lete hain
zid har ek baat par nahin achchhi
dost ki dost man lete hain
mustaid ho ke ye kaho to sahi
aaiye imtihan lete hain
'dagh' bhi hai ajib sehr-bayan
baat jis ki wo man lete hain
Ghazal
Saf kab imtihan lete hain
Dagh Dehlvi